AAJKAL AKHBAR KHOLNE KO JI NAHI KARTA

AAJKAL AKHBAR KHOLNE KO JI NAHI KARTA

© Dr. Aparna Govil Bhasker

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta,

Umar chahe paanch ki ho ya pachaas ki,
Rang chahe gora ho ya kaala,
Anpadh ho ya padhi likhi,
Shadishuda ho ya nahi,
Kisi se koi farak nahi padta.

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta,

Ek Jyoti thi, ek hui Priyanka
Beech me na jane kitni thi Anamika,
Hindu thi, ya Isai, ya thi musalman,
Khoon to baha tha lal hi sabka,

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta,

Yeh khabrein ab khabrein na rahi,
Pehle panne par netaon ka hai raj,
Pachven panne par dhoondne par nazar kabhi pad jati hai,
Kyunki khabar yeh chapti hai to desh ka gaurav hota hai kam,
Yeh khabar kahin kisi aur desh ke log na padh le, yeh soch ke bhi humko aati hai sharm,
Akhir natija hai yeh sab western culture ka,
Isme badi kya baat hai, yeh to sare jag me hota hai,

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta,

Kyunki abhi to chita bhi nahi hui hai thandi,
Par hamare aakrosh ka graph aa gaya hai neeche,
Thak gaye hain hum #Rape ke bare me sun sun ke,
Bahut ho gaya, ab routine me vapas jana hai,
Akhir humko bhi to ghar chalana hai,

Aajkal akhbar kholne ko ji nahi karta,

Hamare paas nahi hai vakt,
Na hi yeh hamari hai problem,
Priyanka ke maa baap ab kaatenge court ke chakkar,
Saalon nikal jayenge,
Aur isko bhi hum dharm ka issue banayenge,
Vote jodenge, election issue banayenge,
Jab zaroorat hogi, tab mudda uthayenge,

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta,

Mombattiyan jalti rahengi, petitions filon me padi rahengi,
Kuch salon bad fir ek aur Priyanka hogi ek aur Jyoti hogi,
Kya maloom woh masoom kaun hogi,
Hum fir se aakrosh dikhayenge or fir so jayenge,

Kab tak yeh silsila yuhin chalta rahega,
Kab rapist ko dand milega,
Kab badlega yeh system,
Kab hoga yeh sab khatam,

Aajkal akhbar kholne ka ji nahi karta……

©Dr. Aparna Govil Bhasker